Thursday 23 February 2012

valentine's day

february ka mahina hai to socha is topic pe kuch likhun..:)
mujhe tafseel mein nahi jana ki valentine day kya hota hai or kyun manaya jata hai as yeh to aap sabhi jante hai lekin mukhtasar yeak ki valentine day pyar ka din hai ..
log kehte hai ki is din ko so called love se hi kyun muntakhib ker diya hai is din to her koi her kisi ko wish ker sakta hai bhale hi log sahi kehte ho  lekin mera manna yeh hai ki yeh din usi pyar ki baat kerta hai jisko hum aap "aaj kal" ka pyar kehte hai!!
to aaiye jante hai ki is din ladke ladkiyon ki kya expectations hoti hai ek doosre se....woh chahte hai woh ek doosre ko phool den , tohfe den or ek doosre ko bataye ki woh unki zindigi mein kya ahmiyat rakhte hai ..
yeh to ho gayi kuch logon ki baat kuch ladke ladkiyan maante hai ki koi ek din nahi hota hai apne jazbaat ka izhaar karne ke liye to valentine day koi ahmiyat nahi rakhta hai unki nigahon mein ...lekin kya aisa sach mein aisa hai yeh apne mein bohat bada sawal hai!!!
ek min abhi to kahani shuru hui hai ek category to reh hi gayi woh log bechare kahan jaye jo silent love ki baat kerte hai or kehte hai ki zaroori nahi ki jazbo ka izhar ho dil mein bhi cheeze rakhi jati hai or tohfe dena ya milna zaroori nahi bas door rehke bhi aap unki kaamyabi ke liye dua ker sakte hai or woh ehsaas kitna acha hoga jab aap apne pyar ko bulandiyon per dekhenge or fakhr mehsoos karenge mein yeh nahi keh rahi ki izhaar na karna ,tohfe na dena achi baat hai lekin kya phool or tohfe dene se hi pyar bhadta hai??
aapko nahi lagta yeh pyar ka jazba in dunyavi cheezon se pare hai means pyar mein in artificial cheezo ki zaroorat nahi hai ager koi kisi se sachcha pyar kerta hai to yeh sab cheeze dhikava hai kyunki pyar to qurbani ka compromise ka naam hai aap jise pyar kerte hai uske rang mein rangna chahte hai or uski her achi adat ko apnana chahte hai or ager buri adat hai or insaan sachcha pyar kerta hai  to chahe woh koi bhi ho parents ,dost ,aapka pyar to uske liye woh us adat ko chod deta hai. to aiye is pyar ke din yeh vada kare ki hamesha ek doosre se pyar lenge or denge or ager aapka sathi kisi majboori ke tahat aapko koi tohfa nahi de pa raha hai to uski majboori ko samjhe or usko yaqeen dilaye ki aapke liye woh shaqs zaroori hai or uska pyar naki phool or tohfe kyunki zindigi bohat choti hai dost or isiliye her pal ko jeeye or apne sathi ko woh pyar de jiska woh haqdaar hai usmein koi kotahi na kare kyunki kya pata kal ho na ho!!