Saturday 23 June 2012

In the memory of my frnd

ek sathi tha bohat pyara sa
jo bichad gaya apno ki tarah


dil toota
aansoo nikle
 jaise kahin zor se badal garje
lekin woh na wapas aayega
 yeh soch ke armaan beh nikle

ek jhurmut tha kuch logon ka

jo toot gaya sapno ki tarah

ek rishta tha benam sa usse

jo bhikhar gaya dhaago ki tarah

woh qabr mein ja ke so gaya
 
jaise rooth gaya bachchon ki tarah