Aaj mein jab kuch likhne baithi
Bachpan ki yadon mein kho baithi
woh barish ka cham se aajana
usmein phulon ka khil jana
woh nav bahana
woh cycle chalana
gilli dande mein gilli ka udana
or roz bandar ka nach dekhna
phr khush hokar taali ka bajana
woh pyari pyari baten karna
woh masoom si shararten kerna
woh papa ka ungli ko pakadna
phr unse khubsari farmaishen karna
mummy se chup ker khel khelna
phr chot lagne per zor se rona
uspe mummy ka gussa hona
phr pyar se chot par marham lagana
yadon ka phr pehra toota
ek pyara sa sapna rootha
woh bachpan ka chulbulapan
woh athkheliyan woh niralapan
ab to sirf yaden hi yaden
or reh gaya hai sunapan
ab is duniya mein rehna hai
jahan masoomiyat per pehra hai
ek yadon ka sehra hai
jismein bhatkte rehna hai..