Friday 6 April 2012

Bachpan ke khel


Bachpan –bachpan naam hai chote chote sapno choti choti ashaayon chand khilono or dher saari mauj masti ,bachpan naam hai apne aap mein magan rehne ka,bachpan naam hai choti choti galtiyan kerne ka or phir koshish kerke un galtiyon ko sudharne ka ,bachpan naam hai us khalish ka jo jawaan hone per ek insaan ke sine mein huq ban ker ubharti hai ki ae kash phir se who din laut aaye jab hum sirf apnea p mein gum rehte the,doston ke sath khelte the,ladte thelekin phr maan jate the,jab hamar man nishchal tha usmein kisi ke liye koi jalan ki bhavna nahi thi.
              Yahan yeh samjhane ki ya batane ki koshish nahi ki ja rahi hai ki bachpan kya hai kyunki yeh to aisa sapna hai jisko bachpan khatam hone ke baad her vaykti dekhta hai chahe woh pursuh ho ya istri,woh chahta hai ki kaise woh din wapas aa ajye . aye din hum logon ko kehte sunte hai ki kaash!! Woh din laut aaye jab hum chote hua kerte the na koi pareshani thi na koi tension thi her taraf khushiyan hi khushiyan thi.
           Bachpan ki yade aisi hoti hai jo sabke pass hoti hai koi is duniya mein aisa nahi hoga jiske pass yaden na ho kisi ki achi yaden hoti hai kisi ki buri, ayiye thoda peeche chalte hai or apne bachpan ko yaad kerte hai ki kaise hum log choti choti baton se duniya jahaan ki khushiyan pa lete the, or kaise apne mummy papa se farmaishe kerte the or kaise woh qism-qism ke khel ,khel ker kush hote the jaise sikdi,eye-spy,vish-amrit,baraf-pani,bhagam-bhag,solah parchi,chor sipahi badshah wazeer.in sab khelo ko khel ker jo maza aata tha or jo tawaniyat mehsoos hoti thi bhale se chote bhi bohat lagti thi lekin choton ka dard zayda der tak nahi rehta tha or jis ladke ya ladki se hamari ladai hoti thi ya jiske zariye humein chot lagti thi usse bhi thodi der baad dosti ho jati thi ya yeh keh len us waqt hamare zehen us ret  ki tarah hote the ki hamare zehen mein koi bhi cheez rukti nahi thi jaise ret mein kuch likho or pani ka bahaav use baha le jata hai hai waise hi hamare zehen  mein bhi baten der tak nahi rehti thi or or hamara nanha sa zehen dil mein kuch nahi rakhta tha or logon ko jaldi se maaf ker deta tha .
                 Lekin ab kya hai woh  khel kahan gaye abke bachche to yeh saare khel jaante hi nahi hai jinhe khel ke hum bade hue hai aajkal maa baap bhi had se zayda bachchon ke protection mein unko gher se nahi nikalne dete hai or woh  gher mein hi cartoon dekhte hai ya computer pe baithte hai.unko  jo ek tarah ki energy milni chahiye woh milti hi nahi hai.gher mein rehne ki wajah se  woh kisi se interact hi nahi ker paate hai .
            Ek baat hamesha bade budhe kehte the ki”raah chalta aadmi bhi kuch bataye to agar sahi hai to usko maano” matlab her taraf se bachchon ko knowledge milti thi  ab ke bachche gher mein hi rehte hai or isiliye aap dekhte honge aaj kal ke bachchon mein utne manner’s bhi nahi hote hai kyunki maa baap unko kuch kehna hi nahi chahte hai or bade budhe sath mein hote nahi hai kyunki aaj kal nuclear family ka zamana hai isiliye aaj kal ke bachche aise hai , aaj kal ke maa baap apne bachchon ko chota samjh ker unko daantna nahi chahte hai or unpe had se zayda nazar rakhte hai ki kahin unke bachche ko chot na lag jaye bahar na nikal jaye to yahan pe yeh kehna ka matlab hargiz yeh nahi hai ki bachchon pe nazr nahi rakhni chahiye balki yeh kehna chahti hun ki aaj kal maa baap over possessive ho gae hai bachchon ko thoda bahar nikalne de unpe tambeeh kare doosre agr aapke bachchon ko daante to bura na mane kyunki woh  uske bhale ke liye hi usko kuch kahenge .
            Aaj ke daur or pehle ke daur mein yahi farq hai ki pehle ke daur mein bachche bohat saare khel khelte the jisko hum “out door games” bolte hai unse bachche girke,chot khake ,zehni wa jismani dono se mazboot hote the lekin ab ke daur mein bachche indoor games ki wajah se zehni or jismani dono se hi mazboot nahi hote unhe choti -2 baten bhi buri lagti hai or kuch bachche to baten bilkul seh nahi pate or apne aapko nuqsaan pohcha lete hai ya unki wajah se unke maa baap pareshan rehte hai jisse gher ke mahol pe bhi asar padta hai or jismaani bhi mazboot nahi hote hai jaise zukaam bukhaar jaisi aam bemaariyan bhi unhe jaldi pakad leti hai to khel ek aisi cheez hai jo ek bachche ko her tarah se mazboot banati hai matlab aage chalke student ki shaql mein kaise aapko cheeze yaad rakhni hai or ek employee ke shaql mein decision making power ko mazboot kerta hai ,ek boss ki shaql mein observing power ko bhadata hai or sabse ahem baat “unity” matlab unity mein kaam kaise kiya jaye yeh aap bohat ache se seekhte hai.
                              Isliye khel sabko khelna chahiye or maa baap ko bhi ismein bachchon ko support kerna chahiye or kabhi kabhi khud bhi bachcha ban ker unke sath khelna chahiye isse bhi unke dimaag per acha asar padta hai or aapke bachche sehatmand,tandurust or aqalmand bante hai.
 

 

Monday 2 April 2012

qata

1-har lamha har pal sochte hai yeh 

 yeh mushkil bhare din kab katenge  

jab waqt tha tab to laubalipan tha  

ab to her din her pal afsos mein katenge


2-yeh pal yeh khushiyan aaj hai hamare sath   

yeh doston ki bebakiyan aaj hai hamare sath..   

kal ho na ho kya khabar..   

jee len yeh pal aaj sab ke sath..


3-door rehke bhi kitna pass hai woh   

dil ke kareeb bohat khass hai woh  

dooriyan bohat sahi lkn kahin na kahin  

zindigi ke har mod per sath sath hai woh